Ganesh Chaturthi Story for Kids

Mother : Chalo bacho. Jaldi se naha lo aur taiyar ho jao. Aaj ganesha chaturthi hai.
Kids : Okay mummy. Par pehle hume ganesha chaturthi ki kahaani sunao.
Mother : Chalo sab yaha betho. Me sunaati hu tumhe ganesha chaturthi ki kahaani.

Bahut samay pehle ki baat hai.
Maa Parvati ko snaan ke liye jaana tha. Par ghar ke dwar pe nazar rakhne ke liye koi nahi tha.
To maa parwati ne apne badan pe lage hue chandan ke lep se ek aakriti banai aur usme jaan daali.
Aur use boli :

Parvati : Putr. me snaan karne ja rahi ho.
Tum dwaar pe nazar rakhna aur kisi ko andar mat aane dena. Chaahe vo koi bhi ho.

Ganesha : thik hai maa. Me kisi ko andar nahi aane dunga. Aap araam se snaan kijiye.
Me kisi ko andar nahi aane dunga.

Ye keh kar maa parvati chali gai aur voh baalak dwar pe pehra dene laga.
Itne me shiv ji bhagwaan aaye aur andar jaane lage.

Ganesha : aap andar nahi ja sakte. Meri mata andar snaan kar rahi hai. Aap baad me aaiyega.

Ye sun kar shiv Ji bole :
Shivi : moorkh baalak. Me parvati ji ka pati hu. Mujhe andar jaane do.

Ganesha : nahi. Me nahi jaane dunga. Mata ne kisi ko bhi andar bhene se mana kia hai.

Shiv bhagwaan ne krodh me aakar us baalak ka gala kaat dia.

Itne me parvati bahar aai aur baalak ko dekh kar boli.

Parvati : ye aapne kya kia !! Mere putr ko maar dia.
Me aapko shama nahi karungi aur is poori shrishti ka vinaash kar dungi.

Ye sun kar brahma jee aaye aur bole :
Brahma : Devi. Aap aisa na kare. Shivji se bhool hui hai. Unhe apni galti sudhaarne ka mauka dijiye.
To shivji ne parvati se maafi maangi aur nandi bail se bole :

Shivji : jao nandi. Uttar disha me jaao aur jo bhi praani tumhe sabse pehle mile, uska sar mere pass le aao.

Nandi bail uttar disha ki aur chal pade. Unhe raste me ek hathi mila.
Vo uska sar leke shivji k pass chale aaye aur shivji ko de dia.

Shivji bhagwaan ne fir us hathi ka sar baalak k sar ki jagah laga dia aur use eevit kar dia.
Ye dekh kar parvati maa prasanna hui. Aur unhone us baalak ko naam dia :
ganesha. Aur unhe ashirvaad dia ki is sansaar me
jab bhi bhagwaano ko pooja jaaega to sabse pehle Ganesha Poojan hoga.

Tabse hum sab ganesha chaturthi manaate hai.

Bache : Arey waah. Ye to badi achi kahaani thi.
Chalo mummy hum sab ganesha chaturthi

manaate hai.